मेरे मन की हलचल…..

Search topic

Responsive Ads Here

मैं आरक्षण विरोधी हूँ Stop reservation system

Koi aarakshan ko hatwao yaar. Desh barbaad ho raha hai iske karan. Gadhe ghode ka mukhouta pehan ke aam logo ko gadha bana raha hai aur desh ko khai me dhakel raha hai. Jinhone bhi aarakshan system ko banaya hoga mai ye nahi keh raha ki kuch galat soch ke banaya tha beshak wo garibo ki bhalai sochke banaya tha lekin jati ke aadhar par categories karke unhone bahot badi galti kar di. Ab isko badalne ki sakht jaroorat hai. Jaha tak maine suna hai Dr. Ambedkar ne peechhdi warg ke logo ko aage badane ke liye sirf 10 saal ke liye ye kanoon banaya tha lekin humare rajnetao ne apni raajneeti sekne ke liye isko aage badha diya aur aaj tak ispar raajneeti kar rahe hai.

Aarakshan ka bahot jyada galat istmaal ho raha hai. Iske chakkar me humara desh bhed bakriyon ka desh banta ja raha hai aur shero ki sankhya ghatti ja rahi hai aap to dekh hi rahe hai kya ho raha hai.

Bahot dukh hota hai jab dekhta hu un logo ko jo apni mehnat aur kabiliyat se kisi tarah pahad ki choti par chadta hai aur dekhta hai ki sarkar ne pehle hi helicopter se ek aise aadmi ko us choti par baitha rakha hai jisko sidi bhi chadna nahi aata.

Ha mai aarakshan virodhi hu kyuki ye desh ko sahi mayne me aage badne se rok raha hai. Mujhe is baat ki bahot chinta hoti hai ki humare desh me talent ki koi kumi nahi hai besumar aise log hai jo desh ko aage badne me madad kar sakte hai lekin firbhi aarakshan wale ghatiya system ke chalte unko sahi se aage badne nahi diya jata. Mai aarakshan virodhi isliye hu kyuki iska labh sahi jagah pe nahi pahuch raha hai.

Aur kitna tukde karoge yaar desh ke. Alag alag dharm me to already bate hue hai aur upar se inme bhi SC/ST, OBC, GEN. Kya hai ye sab aur kitne tukde karoge insaan ka apne raajneetik swarth ke liye.

Sarkar aarakshan dekar logo ko aur aalsi bana raha hai logo ke hunar ko dabane ki koshish kar raha hai. Ab to bhed bakriyaan bhi befikra ho gaye hai aur jangal ko gherne ke liye apni senaye bada rahe hai bhai sarkar aarakshan rupi hathiyaar jo de rahe hai unko to darr kis baat ka. Bura mat maniyega koi, bas man ki bhadash nikal raha hu. Waise mai kisi ke khilap nahi hu. Mai to bas prem ka samarthak hu.

Agar desh ko sach me aage le jana hai to sabse pehle ye aarakshan system band karo aur talant ke aadhar par naukri do. Sirf aur sirf talant ki kadar karo na ki kisi jaat ki chahe wo koi bhi jaati ke ho tabhi ye desh sahi mayne me aage bad sakta hai.








No comments:

Post a Comment